Salah ka tareeka


01 - Praising God in the beginning

"Subhanaka Allahumma":
Aap har kami aur nuqs se paak hain, aur sirf aap hi kamaal hain.

"Wa bihamdika":
Hum aap ki tareef karte hain aur shukar ada karte hain.

"Wa tabaarak asmuka":
Aap ka naam baraqat wala hai, jo sirf bhalaai aur rehmat lata hai.

"Wa ta'ala jadduka":
Aap ki shaan aur azmat har cheez se upar hai.

"Wa la ilaha ghayruk":
Aap ke siwa koi maabood nahi, sirf aap hi ibadat ke layak hain.

02 - Reciting Surat-ul-Fatihah

Surat-ul-Fatihah


أعوذ بالله من الشيطان الرجيم

A'uzu billahi min ash-shaytaan-ir-rajeem

Mai Allah ki Panah mangti hu shaytan mardood se, jo shaapit hai


بسم الله الرحمن الرحيم

Bismillah-ir-Rahman-ir-Raheem

Allah ke naam ke sath jo nihayat meherbaan, aur bepanah raham karne wale hai 


ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

Alhamdulillahi Rabbil Aalameen

Tamaam Tareefei sirf Allah hi ke liye hai jo tamaam kaaenaat ke Rabb hai


ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ 

Ar-Rahmaan-ir-Raheem

Bohot Bakhshish karne wale, Bade Meharbaan


مَٰلِكِ يَوۡمِ ٱلدِّينِ

Maaliki-Yawmiddeen

Haakim hai insaaf ke din ke


إِيَّاكَ نَعۡبُدُ وَإِيَّاكَ نَسۡتَعِينُ

iyyaka na'budu wa-iyyaka nasta'een

Aapki hi ibadat hm karte hai, aur aap hi se hm madad mangte hai


ٱهۡدِنَا ٱلصِّرَٰطَ ٱلۡمُسۡتَقِيمَ

ih'dina-s-siratal mustaqeem

Hame aap sidhe raaste par chalao


صِرَٰطَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمۡتَ عَلَيۡهِمۡ غَيۡرِ ٱلۡمَغۡضُوبِ عَلَيۡهِمۡ وَلَا ٱلضَّآلِّينَ

Sirat-alladhina an'amta alaihim ghayril-maghdubi alaihim waladdoaalleen

Unlogo ka raasta jin par aapne inaam farmaya - jo gunahgaar nhi hue - jo bhatke hue nahi hai


03 - Reciting Surah and Dua

Bismillahir-Rahmanir-Raheem
"Allah ke naam ke saath jo nihayat mehrban aur bepanah reham karne wale hai."


Qul HuwaAllahu Ahad
"Kaho: Woh Allah akele hai."

Allahus-Samad
"Allah be-niyaz hai (sab unhi ke mohtaaj hai)."

Lam Yalid wa Lam Yulad
"Na unhone kisiko ko paida kiya hai or na hi wo kisi se paida hue hai"

Wa Lam Yakullahu Kufuwan Ahad
"Aur naa hi koi unke barabar hai."


Allahu Akbar
"Allah sabse bade hai"


(3 times)
Subhana Rabbiyal-Azeem
"Mere Rabb jo azeem (bohot bade) hai, woh har nuqs se paak hai."


Samiallahu liman hamidah
"Allah ne uski dua sun li jo unki tareef kare."

Allahumma Rabbana wa Lakal-Hamd

Hamare Allah! Hamare Rabb tamaam tareef tere hi liye hai.


Allahumma Hamdan Kathiran Tayyiban Mubarakan Fih
"Humare Rabb! Saari tareef sirf aap ke liye hai, tareef jo bohot zyada, behtareen aur barkat wali hai."


Allahu Akbar
"Allah sabse bade hai"


(3 times)
Subhana Rabbiyal-A'la
"Mere Rabb jo sabse buland hai, woh har nuqs se paak hai."


Allahu Akbar
"Allah sabse bade hai"


Allahumma-ghfirli warhamni wahdini wajburni wa’afini warzuqni warfa’ni
"Ya Allah! Mujhe bakhsh dijiye, mujh par reham kijiye, mujhe hidayat dijiye, meri kami ko poora kijiye, mujhe afiyat dijiye, mujhe rizq dijiye aur mujhe bulandi ata kijiye."


At-tahiyyatu lillahi, was-salawatu, wat-tayyibatu,
"Tamam izzatain, ibadatein aur paaki sirf Allah ke liye hain."

As-salamu ‘alaika ayyuhan-nabiyyu wa rahmatullahi wa barakatuh,
"Salam ho aap par, ai Nabi, aur Allah ki rehmat aur uski barkatain bhi."

As-salamu ‘alaina wa ‘ala ‘ibadillahi-s-saliheen.
"Hamara salam ho ham par aur Allah ke nek bandon par."

Ash-hadu an la ilaha illa Allah, wa ash-hadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluh.
"Main gawahi deta hoon ke Allah ke siwa koi maabood nahi, aur main gawahi deta hoon ke Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur Rasool hain."


Allahumma salli 'ala Muhammad wa 'ala aali Muhammad, kama sallayta 'ala Ibrahim wa 'ala aali Ibrahim, innaka Hameedun Majeed.
"Ya Allah, Muhammad ﷺ par aur unke khandan (aali Muhammad) par apni rehmat aur salamati bhejiye, jaise aap ne Ibrahim (alayhissalaam) aur unke khandan par apni rehmat bheji thi. Aap laayaq-e-tareef aur azeem ho."

Allahumma baarik 'ala Muhammad wa 'ala aali Muhammad, kama baarakta 'ala Ibrahim wa 'ala aali Ibrahim, innaka Hameedun Majeed.
"Ya Allah, Muhammad (ﷺ) par aur unke aali (khandan) par barkat bhejiye, jaise aap ne Ibrahim (as) aur unke aali (khandan) par barkat bheji thi. Aap laayaq-e-tareef aur azeem ho."


Chehre ko thoda right ki taraf turn krke
As-Salamu Alaikum wa Rahmatullah
Salam ho aap par aur Allah ki rehmat ho

Fir chehre ko thoda left ki taraf turn krke
As-Salamu Alaikum wa Rahmatullah
Salam ho aap par aur Allah ki rehmat ho

Mandatory Salah

Allahu Akbar(raise hands) 

A'uzu billahi min ash-shaytaan-ir-rajeem

Bismillah-ir-Rahman-ir-Raheem

Alhamdulillahi Rabbil Aalameen

Ar-Rahmaan-ir-Raheem

Maaliki-Yawmiddeen

iyyaka na'budu wa-iyyaka nasta'een

ih'dina-s-siratal mustaqeem

Sirat-alladhina an'amta alaihim ghayril-maghdubi alaihim waladdoaalleen

Bismillahir-Rahmanir-Raheem

Qul HuwaAllahu Ahad

Allahus-Samad

Lam Yalid wa Lam Yulad

Wa Lam Yakullahu Kufuwan Ahad

Allahu Akbar {go to ruku(hands on knees)}

Subhana Rabbiyal-Azeem (3 times){while in ruku}

Samiallahu liman hamidah {uthte waqt}

Allahumma Rabbana wa Lakal-Hamd {khade hokar}

Allahu Akbar {sajde me jate hue (zameen me sar tekna)}

Subhana Rabbiyal-A'la (3 times){sajde ki halat me}

Allahu Akbar{when goes up(sajda)}

Allahu Akbar(when goes down(sajda))

Subhana Rabbiyal-A'la (3 time){sajde ki halat me}


At-tahiyyatu lillahi, was-salawatu, wat-tayyibatu, {baithe waqt}

As-salamu ‘alaika ayyuhan-nabiyyu wa rahmatullahi wa barakatuh,

As-salamu ‘alaina wa ‘ala ‘ibadillahi-s-saliheen.

Ash-hadu an la ilaha illa Allah, wa ash-hadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluh.


Allahumma salli 'ala Muhammad wa 'ala aali Muhammad, kama sallayta 'ala Ibrahim wa 'ala aali Ibrahim, innaka Hameedun Majeed.

Allahumma baarik 'ala Muhammad wa 'ala aali Muhammad, kama baarakta 'ala Ibrahim wa 'ala aali Ibrahim, innaka Hameedun Majeed.

As-Salamu Alaikum wa Rahmatullah

As-Salamu Alaikum wa Rahmatullah

04 - Zikr after Salah

Astaghfirullah - Astaghfirullah - Astaghfirullah

Main Allah se maafi maangti hoon.


Allahumma Anta-s-Salaam, wa minka-s-salaam, tabarakta ya Dhal-Jalali wal-ikram.

Ya Allah, Aap hi hain Shanti aur Salaamat ke Mool aur Shanti aur Salaamat Aapse hi aati hai. Aap Mubarak hain, Shaan aur Izzat se bharpoor.


La ilaha illa-llahu wahdahu la shareeka lah, lahu-l-mulku, wa lahu-l-hamd, wa Huwa 'ala kulli shay’in Qadeer, la hawla wa la quwwata illa bi-llah. La ilaha illa-llah, wa la na’budu illa iyyah, lahu-n-ni’matu wa lahu-l-fazl, wa lahu-th-thana’u-l-hasan. La ilaha illa-llahu mukhlisina lahu-d-deen, wa law kariha-l-kafiroon.

Allah ke siwa koi maabood nahi. Wo akela hai, uska koi shareek nahi. Bas usi ke liye sara ikhtiyar hai aur saari tarif usi ki hai. Wo har cheez par Qadir hai. Koi taaqat (buri cheez ko door karne ki) aur koi quwwat (achhi cheez hasil karne ki) nahi siwa Allah ke. Allah ke siwa koi maabood nahi, aur hum uske ilawa kisi ki ibaadat nahi karte. Saari niyamat, fazl, aur behtareen tarif sirf usi ke liye hai. Allah ke siwa koi maabood nahi. Hum apna deen sirf usi ke liye khaalis rakhte hain, chahe kaafir is baat ko pasand na karein.


Allahumma la mani’a lima a’atayt, wa la mu’tiya lima man’at, wa la yanfa’u dhal-jaddi minka-l-jadd.

Aey Allah! Jo aap dena chahen, usko koi rok nahi sakta, aur jo aap rokna chahen, usko koi de nahi sakta. Aur aapke samne kisi bhi shaan wale ki shaan faida nahi deti.


Allahumma a’inni ‘ala dhikrika wa shukrika wa husni ‘ibadatik.

Aey Allah! Mujhe apki zikr karne mein, aapka shukr ada karne mein, aur behtareen tareeqe se apki ibaadat karne mein madad farma.


Allahumma inni a’udhu bika minal-bukhl, wa a’udhu bika minal-jubn, wa a’udhu bika min an uradda ila ardhali-l-‘umur, wa a’udhu bika min fitnati-d-dunya, wa a’udhu bika min ‘adhabi-l-qabr.

Aey Allah! Main aapki panaah maangti hoon bukhl (kanjoosi) se, aur aapki panaah maangti hoon jubn (kaayarta) se. Main aapki panaah maangti hoon ke mujhe zaleel budhape ki umr tak lautaya jaye. Main aapki panaah maangti hoon duniya ke fitnon se aur qabr ke azaab se.


Allahu la ilaha illa Huwa-l-Hayyul-Qayyum, la ta’khudhuhu sinatuw wa la nawm, lahoo ma fissamawati wa ma filard, man dhal-ladhī yashfa’u ‘indahoo illa bi-idhnih, ya’lamu ma bayna aideehim wa ma khalfahum, wa la yuhīṭoona bishay’im-min ‘ilmihī illa bima shā’, wasi’a kursiyyuhus-samāwāti wal-ard, wa la ya’ooduhu hifzohumā wa huwa-l-‘Aliyyul-‘Azīm.

Wo Allah hai, uske siwa koi maabood nahi, wo hi Zinda hai, aur har cheez ko sambhaalne wala hai. Usay na neend aati hai na thakaan aur na thodi si bhi ghabrahat. Jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zameen par hai, wo sab usi ka hai. Kaun hai jo uske paas shafa’at kar sakta hai bina uske ijazat ke? Woh janta hai jo kuch unke aage hai aur jo kuch unke baad hai, aur koi apni ilm se kisi bhi cheez ko nahi samajh sakte siwai uski manzoori ke. Uska Kursi aasmanon aur zameen par cha gaya hai, aur dono ka hifazat usse thakaata nahi hai. Aur wo sabse ooncha, sabse azeem hai.


La ilaha illa-llahu wahdahu la shareeka lah, lahu-l-mulku wa lahu-l-hamd, yuhyi wa yumeet, wa Huwa ‘ala kulli shay’in Qadeer.

Allah ke siwa koi maabood nahi. Wo akela hai, uska koi shareek nahi. Bas usi ke liye sara ikhtiyar hai aur saari tarif usi ki hai. Wo zindagi deta hai aur maut bhi usi ke haath mein hai. Wo har cheez par Qadir hai.


Allahumma inni as’aluka ‘ilma-n-naafi’a, wa rizqan tayyiba, wa ‘amalam-mutaqabbala.

Aey Allah! Main aap se faida mand ilm, achi rozi, aur aise aamaal ki dua karta hoon jo aap apne paas qubool karein.