Skip to main content

03 - Reciting Surah and Dua

Bismillahir-Rahmanir-Raheem
Allah ke naam ke saath jo nihayat mehrban aur bepanah reham karne wala hai.


Qul HuwaAllahu Ahad
Kaho: Woh Allah ek hai.

Allahus-Samad
Allah be-niyaz hai (sab usi ke mohtaaj hai).

Lam Yalid wa Lam Yulad
Naa woh kisi ka baap hai aur naa woh kisi ka beta.

Wa Lam Yakullahu Kufuwan Ahad
Aur naa hi koi uske barabar hai.


Allahu Akbar
Allah sabse bada hai


(3 times)
Subhana Rabbiyal-Azeem
Mera Rabb jo azeem (bohot bada) hai, woh har nuqs se paak hai.


Samiallahu liman hamidah
Allah ne uski dua sun li jo uski tareef kare.


Allahumma Hamdan Kathiran Tayyiban Mubarakan Fih
Humare Rabb! Saari tareef sirf aap ke liye hai, tareef jo bohot zyada, behtareen aur barkat wali hai.


Allahu Akbar
Allah sabse bada hai


(3 times)
Subhana Rabbiyal-A'la
Mera Rabb jo sabse buland hai, woh har nuqs se paak hai.


Allahu Akbar
Allah sabse bada hai


Allahumma-ghfirli warhamni wahdini wajburni wa’afini warzuqni warfa’ni
Ya Allah! Mujhe bakhsh dijiye, mujh par reham kijiye, mujhe hidayat dijiye, meri kami ko poora kijiye, mujhe afiyat dijiye, mujhe rizq dijiye aur mujhe bulandi ata kijiye.


At-tahiyyatu lillahi, was-salawatu, wat-tayyibatu,
"Tamam izzatain, ibadatein aur paaki sirf Allah ke liye hain."

As-salamu ‘alaika ayyuhan-nabiyyu wa rahmatullahi wa barakatuh,
"Salam ho aap par, ai Nabi, aur Allah ki rehmat aur uski barkatain bhi."

As-salamu ‘alaina wa ‘ala ‘ibadillahi-s-saliheen.
"Hamara salam ho ham par aur Allah ke nek bandon par."

Ash-hadu an la ilaha illa Allah, wa ash-hadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluh.
"Main gawahi deta hoon ke Allah ke siwa koi maabood nahi, aur main gawahi deta hoon ke Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur Rasool hain."


Allahumma salli 'ala Muhammad wa 'ala aali Muhammad, kama sallayta 'ala Ibrahim wa 'ala aali Ibrahim, innaka Hameedun Majeed.
Ya Allah, Muhammad ﷺ par aur unke khandan (aali Muhammad) par apni rehmat aur salamati bhej, jaise tu ne Ibrahim (alayhissalaam) aur unke khandan par apni rehmat bheji thi. Tum laayaq-e-tareef aur azeem ho."

Allahumma baarik 'ala Muhammad wa 'ala aali Muhammad, kama baarakta 'ala Ibrahim wa 'ala aali Ibrahim, innaka Hameedun Majeed.
"Allah, Muhammad (ﷺ) par aur unke aali (khandan) par barkat bhej, jaise tu ne Ibrahim (as) aur unke aali (khandan) par barkat bheji thi. Tum laayaq-e-tareef aur azeem ho."


Chehre ko thoda right ki taraf turn krke
As-Salamu Alaikum wa Rahmatullah
Salam ho aap par aur Allah ki rehmat ho

Fir chehre ko thoda left ki taraf turn krke
As-Salamu Alaikum wa Rahmatullah
Salam ho aap par aur Allah ki rehmat ho