04 - Zikr after namaz
Astaghfirullah - Astaghfirullah - Astaghfirullah
Main Allah se maafi maangti hoon.
Allahumma Anta-s-Salaam, wa minka-s-salaam, tabarakta ya Dhal-Jalali wal-ikram.
Ya Allah, Aap hi hain Shanti aur Salaamat ke Mool aur Shanti aur Salaamat Aapse hi aati hai. Aap Mubarak hain, Shaan aur Izzat se bharpoor.
La ilaha illa-llahu wahdahu la shareeka lah, lahu-l-mulku, wa lahu-l-hamd, wa Huwa 'ala kulli shay’in Qadeer, la hawla wa la quwwata illa bi-llah. La ilaha illa-llah, wa la na’budu illa iyyah, lahu-n-ni’matu wa lahu-l-fazl, wa lahu-th-thana’u-l-hasan. La ilaha illa-llahu mukhlisina lahu-d-deen, wa law kariha-l-kafiroon.
Allah ke siwa koi maabood nahi. Wo akela hai, uska koi shareek nahi. Bas usi ke liye sara ikhtiyar hai aur saari tarif usi ki hai. Wo har cheez par Qadir hai. Koi taaqat (buri cheez ko door karne ki) aur koi quwwat (achhi cheez hasil karne ki) nahi siwa Allah ke. Allah ke siwa koi maabood nahi, aur hum uske ilawa kisi ki ibaadat nahi karte. Saari niyamat, fazl, aur behtareen tarif sirf usi ke liye hai. Allah ke siwa koi maabood nahi. Hum apna deen sirf usi ke liye khaalis rakhte hain, chahe kaafir is baat ko pasand na karein.
Allahumma la mani’a lima a’atayt, wa la mu’tiya lima man’at, wa la yanfa’u dhal-jaddi minka-l-jadd.
Aey Allah! Jo aap dena chahen, usko koi rok nahi sakta, aur jo aap rokna chahen, usko koi de nahi sakta. Aur aapke samne kisi bhi shaan wale ki shaan faida nahi deti.
Allahumma a’inni ‘ala dhikrika wa shukrika wa husni ‘ibadatik.
Aey Allah! Mujhe apki zikr karne mein, aapka shukr ada karne mein, aur behtareen tareeqe se apki ibaadat karne mein madad farma.
Allahumma inni a’udhu bika minal-bukhl, wa a’udhu bika minal-jubn, wa a’udhu bika min an uradda ila ardhali-l-‘umur, wa a’udhu bika min fitnati-d-dunya, wa a’udhu bika min ‘adhabi-l-qabr.
Aey Allah! Main aapki panaah maangti hoon bukhl (kanjoosi) se, aur aapki panaah maangti hoon jubn (kaayarta) se. Main aapki panaah maangti hoon ke mujhe zaleel budhape ki umr tak lautaya jaye. Main aapki panaah maangti hoon duniya ke fitnon se aur qabr ke azaab se.
Allahu la ilaha illa Huwa-l-Hayyul-Qayyum, la ta’khudhuhu sinatuw wa la nawm, lahoo ma fissamawati wa ma filard, man dhal-ladhī yashfa’u ‘indahoo illa bi-idhnih, ya’lamu ma bayna aideehim wa ma khalfahum, wa la yuhīṭoona bishay’im-min ‘ilmihī illa bima shā’, wasi’a kursiyyuhus-samāwāti wal-ard, wa la ya’ooduhu hifzohumā wa huwa-l-‘Aliyyul-‘Azīm.
Wo Allah hai, uske siwa koi maabood nahi, wo hi Zinda hai, aur har cheez ko sambhaalne wala hai. Usay na neend aati hai na thakaan aur na thodi si bhi ghabrahat. Jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zameen par hai, wo sab usi ka hai. Kaun hai jo uske paas shafa’at kar sakta hai bina uske ijazat ke? Woh janta hai jo kuch unke aage hai aur jo kuch unke baad hai, aur koi apni ilm se kisi bhi cheez ko nahi samajh sakte siwai uski manzoori ke. Uska Kursi aasmanon aur zameen par cha gaya hai, aur dono ka hifazat usse thakaata nahi hai. Aur wo sabse ooncha, sabse azeem hai.
La ilaha illa-llahu wahdahu la shareeka lah, lahu-l-mulku wa lahu-l-hamd, yuhyi wa yumeet, wa Huwa ‘ala kulli shay’in Qadeer.
Allah ke siwa koi maabood nahi. Wo akela hai, uska koi shareek nahi. Bas usi ke liye sara ikhtiyar hai aur saari tarif usi ki hai. Wo zindagi deta hai aur maut bhi usi ke haath mein hai. Wo har cheez par Qadir hai.
Allahumma inni as’aluka ‘ilma-n-naafi’a, wa rizqan tayyiba, wa ‘amalam-mutaqabbala.
Aey Allah! Main aap se faida mand ilm, achi rozi, aur aise aamaal ki dua karta hoon jo aap apne paas qubool karein.
No Comments