Skip to main content

Part 02 - Itna bada farq kyu?

Ab zara is baat par gour karo ke yeh itna bada farq jo aadmi aur aadmi mein ho jaata hai, yeh aakhir kyun hota hai? Kalme mein hai kya? Sirf chand harf hi to hain — Laam, Alif, Hey, Meem, Wao, Seen aur aise hi do chaar huruf aur. In harf ko mila kar agar munh se nikaal diya to kya koi jaadu ho jaata hai ke aadmi ki kaaya palat jaaye? Aadmi aur aadmi mein kya bas itni si baat se zameen-o-aasman ka farq ho sakta hai?

Mere bhaiyon, tum zara samajh se kaam loge to tumhari aqal khud keh degi ke bs munh kholne aur zubaan hila kar chand harf bol dene ki itni badi taaseer nahi ho sakti. But-parast (Murtiyo ki puja karne wale) mushrik log to zaroor samajhte hain ke ek mantar padh dene se pahaad hil jaayega, zameen shaq ho jaayegi, aur chashme ubalne lagenge, chahe mantar ke maane ki kisi ko khabar na ho. Kyunki wo samajhte hain ke saari taaseer bas huruf mein hai — wo zubaan se nikli aur tilismat (jadu) ke darwaaze khul gaye. Magar Islam mein yeh baat nahi hai; yahan asal cheez maane hai. Alfaaz ki taaseer maano se hai. Maane agar na ho aur wo dil mein na utrein, aur unke zor se tumhare khayalat, tumhare ikhlaaq, aur tumhare aamaal na badlein, to sirf alfaaz bol dene se kuch bhi asar na hoga.

Is baat ko main ek moti si misaal se samjhaun:

  • Farz karo tumhein sardi lagti hai. Agar tum zubaan se "rooi lehaaf, rooi lehaaf" pukarna shuru kar do, to sardi lagni band nahi hogi, chahe tum raat bhar mein ek laakh tasbihen rooi lehaaf ki par daalo. Haan, agar lehaaf mein rooi bharwa kar oadh loge, to sardi lagni band ho jaayegi.
  • Farz karo ke tumhein pyaas lag rahi hai. Agar tum subah se shaam tak "paani, paani" pukarte raho, to pyaas na bujhegi. Haan, paani ka ek ghoont le kar pee loge, to kaleje ki saari aag foran thandi ho jaayegi.

Bas yahi haal Kalma Tayyiba ka hai. Faqat che-saat alfaaz bol dene se itna bada farq nahi hota ke aadmi kaafir se musalmaan ho jaaye, napaak se paak ho jaaye, mardood se mehboob ban jaaye, aur dozakhi se jannati ban jaaye. Yeh farq sirf is tarah hoga ke pehle in alfaaz ka matlab samjho aur woh matlab tumhare dil mein utar jaaye. Phir matlab ko jaan kar, samajh kar, tum in alfaaz ko zubaan se nikaalo, to tumhein achhi tarah yeh ehsaas ho ke tum apne Khuda ke saamne aur saari duniya ke saamne kitni badi baat ka iqraar kar rahe ho, aur is iqraar se tumhare upar kitni badi zimmedari aa gayi hai.

Phir yeh samajhte hue jab tumne iqraar kar liya, to uske baad tumhare khayalat par aur tumhari saari zindagi par is kalme ka qabza ho jaana chahiye. Phir tumhein apne dil-o-dimaag mein kisi aisi baat ko jagah nahi deni chahiye jo is kalme ke khilaaf ho. Phir tumhein hamesha ke liye bilkul faisla kar lena chahiye ke jo baat is kalme ke khilaaf hai, woh jhooti hai, aur yeh kalma sach hai.

Phir zindagi ke saare maamlaat mein yeh kalma tumhara haakim hona chahiye. Is kalme ka iqraar karne ke baad tum kaafiron ki tarah azaad nahi rahe ke jo chaho karo. Balke ab tum is kalme ke paaband ho; jo yeh kahe, usko karna padega, aur jis se mana kare, usko chhodna padega. Is tarah kalma padhne se aadmi musalmaan hota hai, aur is tarah kalma padhne ki wajah se aadmi aur aadmi mein itna bada farq hota hai, jiska zikr maine abhi kiya hai.


Glossary:

  1. Kalma Tayyiba (کلمہ طیبہ): Islam ka buniyadi aur sab se ahem aqeeda jo La Ilaha Illallah, Muhammadur Rasoolullah (Allah ke siwa koi maabood nahi, Muhammad ﷺ Allah ke rasool hain) ka iqraar hai.

  2. Aadmi aur Aadmi (آدمی اور آدمی): Yahan pehla "aadmi" ka matlab musalmaan, aur doosra "aadmi" ka matlab kaafir hai; dono mein zameen-o-aasman ka farq.

  3. Huruf (حروف): Harf ka matlab hota hai harf ya letter, jaise ke Laam, Alif, Meem waghera.

  4. Taaseer (تاثیر): Koi cheez ka asar ya influence, yahan alfaaz ya kalme ki asliyat par zor diya gaya hai.

  5. But-parast (بت پرست): Wo log jo buton (murtiyon) ki puja karte hain, yani mushrik log.

  6. Mushrik (مشرک): Aise log jo Allah ke siwa kisi aur ko maabood ya partner samajhte hain.

  7. Mantar (منتر): Aam tor par Hindu dharam mein isti'mal hone wale talismi alfaz jo samjhe baghair bhi padh liye jaate hain kisi cheez ke asar ke liye.

  8. Tilismat (طلسمات): Jaadu ya chamatkar jaise asraat jo kisi jaadu ya mantar se hasil kiye jaate hain.

  9. Iqraar (اقرار): Koi baat qasme kha kar ya gawai de kar qabool karna, jaise ke kalma par imaan lana.

  10. Mardood (مردود): Allah ki rehmat se door ya Allah ke nazdeek nafrat wala shakhs.

  11. Mehboob (محبوب): Allah ka pyara aur pasandeeda shakhs.

  12. Napaak se Paak (ناپاک سے پاک): Beseerat aur roohani tor par saaf hona; yahan kaafir se musalmaan banne ki haalat ka zikr hai.

  13. Aamaal (اعمال): Insaan ke amal, ikhlaaq aur rozana ke kaam jo uski zindagi ka hissa hain.

  14. Haakim (حاکم): Wo jo hukoomat kare; yahan kalme ko insaan ki zindagi par hukoomat karne wale qayde ke taur par samjha gaya hai.

  15. Zimmedari (ذمہ داری): Wo farz aur zimma jo kalma ka iqraar karne ke baad insaan par aa jaata hai.