Part 04 - Allah Ta'ala se Ahad
Yeh ahad-o-paimaan hai jo "La Ilaha Illallah" padhte hi tum apne Khuda se karte ho aur saari duniya ko gawah bana kar karte ho.
Iski khilaf warzi karoge to tumhari zubaan, tumhare haath paon, tumhara rongta-rongta aur zameen-o-aasmaan ka zarra-zarra, jinke saamne tumne jhoota iqraar kiya, tumhare khilaf Khuda ki adaalat mein gawahi dega. Aur tum aisi be-basi ke aalam mein wahan khade hoge ke ek bhi gawah tumko safai pesh karne ke liye na milega.
Koi wakeel ya barrister wahan tumhari taraf se pairwi karne wala na hoga, balki khud wakeel sahib aur barrister sahib jo duniya ki adaalaton mein qanoon ki ulat-fer karte phirte hain, ye bhi wahan tumhari hi tarah be-basi ke aalam mein khade honge.
Woh adaalat aisi nahi hai jahan tum jhooti gawahiyan aur jaali dastawizein pesh karke aur ghalat pairwi karke bach jaoge. Duniya ki police se tum apna jurm chhupa sakte ho, Khuda ki police se nahi chhupa sakte. Duniya ki police rishwat khaa sakti hai, Khuda ki police rishwat khaane wali nahi. Duniya ke gawah jhoot bol sakte hain, Khuda ke gawah bilkul sacche hain. Duniya ke haakim be-insaafi kar sakte hain, Khuda aisa haakim nahi jo be-insaafi kare. Phir Khuda jis jail mein daalega, usse bach kar bhaagne ki bhi koi surat nahi hai.
Khuda ke saath jhoota iqraar-naama karna bohot badi be-wakoofi hai, is liye jab iqraar karte ho to khoob soch samajh kar karo aur usko poora karo. Warna tum par koi zabardasti nahi hai ke khwah makhwah zubaani hi iqraar kar lo, kyunki khaali, khuli zubaani iqraar mehz bekaar hai.