Skip to main content

Part 01 - Islam me daakhil hone ki pehli shart

Aap ko maaloom hai ke insaan daaira-e-Islam mein ek kalma padh kar daakhil hota hai, aur woh kalma bhi kuch bohot zyada lamba chaura nahin hai — sirf chand lafz hain:
Laa ilaaha illallah Muhammadur Rasoolullah.

In alfaaz ko zubaan se ada karte hi aadmi kuch se kuch ho jaata hai — pehle kaafir tha, ab musalmaan ho gaya; pehle napaak tha, ab paak ho gaya; pehle Khuda ke ghazab ka mustahiq tha, ab uska pyaara ho gaya; pehle dozakh mein jaane wala tha, ab jannat ka darwaaza uske liye khul gaya.

Aur baat sirf itne hi par nahin rehti — isi kalmay ki wajah se aadmi aur aadmi mein bada farq ho jaata hai. Jo is kalmay ko padhne wale hain, woh ek ummat hote hain, aur jo is se inkaar karte hain, woh doosri ummat ban jaate hain. 

Baap agar kalma padhne wala hai aur beta is se inkaar karta hai, to goya baap, baap na raha aur beta, beta na raha. Baap ki jaidaad se betay ko wirsa (hissa) na milega; maa aur behnein tak us se parda karne lagengi.

Goya yeh kalma aisi cheez hai ke gairon ko ek doosre se mila deti hai aur apno ko ek doosre se kaat deti hai. Hatta ke is kalmay ka zor itna hai ke khoon aur rehm ke rishte bhi is ke muqaable mein kuch bhi nahin.


Glossary:

  1. Daaira-e-Islam - Islam ka circle ya boundary.
  2. Kaafir - Wo shakhs jo Islam ko nahi maanta.
  3. Musalmaan - Wo shakhs jo Islam ko maanta hai.
  4. Napaak - Ganda ya impure.
  5. Paak - Saaf ya pure.
  6. Ghazab - Boht zyada gussa.
  7. Mustahiq - Haqdaar, jo kisi cheez ka haq rakhta ho.
  8. Dozakh - Jahannum, yaani jahan saza milti hai.
  9. Jannat - Behisht, yaani swarg.
  10. Ummat - Musalmaanon ki ek community.
  11. Inkaar - Mana karna ya kisi cheez ko reject karna.
  12. Wirsa (Hissa) - Jaidaad mein milne wala part ya share.
  13. Parda - Apne aap ko kisi se chhupana ya cover karna.
  14. Khoon aur Rehm ke rishte - Khoon ke rishte jaise maa, baap, bhai, behen.