Part 07 - Islam ki Qubooliyat, Khuda par Ehsaan nhi
Dusri baat yeh hai ke maalik ne jo cheez tumhein di hai, usko agar tum maalik hi ke kaam mein sarf karte ho to kisi par ehsaan nahi karte. Na maalik par ehsaan hai aur na kisi aur par. Tumne agar uski raah mein kuch de diya ya kuch khidmat ki ya jaan de di jo tumhare nazdeek bohot badi cheez hai, tab bhi koi ehsaan kisi par nahi kiya. Zyada se zyada jo kaam tumne kiya, wo bas itna hi to hai ke maalik ka haq jo tum par tha, woh tumne ada kar diya. Yeh kaunsi aisi baat hai jis par koi phoolay aur fakhr kare aur yeh chahe ke uski tareefen ki jayein aur yeh samjhe ke usne koi bohot bada kaam kiya hai jiski badhaai tasleem ki jaye?
Yaad rakho ke saccha Musalman maalik ki raah mein kuch sarf karne ya kuch khidmat karne ke baad phoolta nahi hai, balki khaaksari ikhtiyaar karta hai. Fakhr karna kaar-e-khair ko barbaad kar deta hai. Tareef ki khwahish jisne ki aur uske khaatir koi kaar-e-khair kiya, woh Khuda ke haan kisi ajar ka mustahiq na raha kyunki usne to apne kaam ka muawza duniya hi mein maanga aur yahin usko mil bhi gaya.
Glossary (Hinglish)
- Maalik - Malik, adhikari, owner.
- Sarf karna - Kharach karna, istemal karna.
- Ehsaan - Upkaar, favor.
- Raah mein - Raste mein, Allah ki raah mein, for the sake of Allah.
- Khidmat - Seva, madad, service.
- Nazdeek - Paas, nazar mein, according to someone.
- Haq - Adhikar, right.
- Ada karna - Poora karna, nibhana, fulfill karna.
- Phoolna - Ghamand karna, ghuroor karna, to be proud.
- Fakhr karna - Garv karna, to boast.
- Tareef - Prashansa, praise.
- Badhaai - Badepan ko tasleem karna, greatness.
- Saccha Musalman - Wafadar aur imandaar Musalman, true Muslim.
- Khaaksari - Nirmaanta, vinamrata, humility.
- Ikhtiyaar karna - Apnana, adopt karna.
- Kaar-e-Khair - Achha kaam, nek kaam, good deed.
- Barbaad - Nasht karna, bigaad dena, destroy.
- Khwahish - Ichha, desire.
- Ajar - Inaam, reward.
- Mustahiq - Haqdaar, worthy.
- Muawza - Badla, return, compensation.
- Duniya - Sansar, world.
- Khaatir - Ke liye, for the sake of.
No Comments