Part 08 - Allah ka Ehsaan aur hamara rawaiyah
Bhaiyo, apne Maalik ka ehsaan dekho ke apni cheez tumse leta hai aur phir kehta hai ke yeh cheez maine tumse khareedi hai aur iska muawza main tumhein doonga. Allahu Akbar! Is shaan aur darya-e-karam ka bhi koi thikana hai?
Quran mein irshaad hota hai:
Inna Allaha ishtara minal mumineena anfusahum wa amwaalahum bi'anna lahumul jannah."
Haqqeeqat yeh hai ke Allah ne momino se unke jaan aur maal ko Jannat ke badle khareed liya hai.
(Surah At-Tawbah, 9:111)
Yeh to Maalik ka bartaav tumhare saath hai, ab zara apna bartaav bhi dekho. Jo cheez Maalik ne tumko di thi aur jise Maalik ne phir tumse muawza de kar khareed bhi liya, usko gairon ke haath bechte ho. Nihayat zaleel muawza le kar bechte ho aur wo Maalik ki marzi ke khilaf tumse kaam lete hain, aur tum yeh samajh kar unki khidmat karte ho ke goya raaziq wahi hain.
Tum apne dimaag bechte ho, apne haath paon bechte ho, apne jism ki taaqatein bechte ho, aur wo sab kuch bechte ho jise Khuda ke baaghi khareedna chahte hain. Is se badh kar bad-ikhlaaqi aur kya ho sakti hai?
Bechi hui cheez ko phir se bechna qanooni aur ikhlaaqi jurm hai. Duniya mein is par dagha-baazi aur fareb-dehi ka muqadma chalaya jaata hai. Kya tum samajhte ho ke Khuda ki adalat mein is par muqadma nahi chalaya jaayega?
No Comments