Part 03 - Kalima Tayyiba ka matlab
Aao main batau ke Kalma ka matlab kya hai aur is ko padh kar aadmi kis cheez ka iqraar karta hai aur us ka iqraar karte hi aadmi kis cheez ka paaband ho jaata hai.
Kalma ke maane ye hain ke: Allah ke siwa koi aur Khuda nahi hai aur Hazrat Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain.
Kalma mein "ilah" ka jo lafz aaya hai, is ke maane "Khuda" ke hain. Khuda usko kehte hain jo maalik ho, haakim ho, khaliq ho, paalne aur posne wala ho, duaaon ka sunne aur qubool karne wala ho aur is ka mustahiq ho ke uski ibaadat ki jaaye. Ab jo tumne La ilaha illallah kaha to is ke maane ye hue ke pehle to tumne ye iqraar kiya ke ye duniya na to be-Khuda ke bani hai aur na aisa hai ke iske bohat se Khuda hon. Balke darhaqeeqat iska Khuda hai, aur wo Khuda ek hi hai aur is ek zaat ke siwa khudai kisi ki nahi hai.
Doosri baat jis ka tumne Kalma padhte hi iqraar kiya, wo ye hai ke wo ek Khuda tumhara aur saare jahaan ka maalik hai. Tum aur tumhari har cheez aur duniya ki har shai usi ki hai. Khaaliq wo hai, Raaziq wo hai, maut aur zindagi usi ki taraf se hai, museebat aur raahat bhi usi ki taraf se hai. Jo kuch kisi ko milta hai, usko dene wala haqeeqat mein wo hai aur jo kuch kisi se cheena jaata hai, uska cheen-ne wala bhi haqeeqat mein wohi hai.
Darna chahiye to us se, maangna chahiye to us se, sar jhukaana chahiye to us ke saamne. Ibaadat aur bandagi ki jaaye to uski. Uske siwa hum kisi ke banday aur gulaam nahi aur us ke siwa koi hamara Aaqa aur Haakim nahi. Hamara asal farz ye hai ke usi ka hukum maanain aur usi ke qanoon ki pairvi karein.
Glossary
- Kalma: Wo aqeeda jo musalman Allah aur uske Rasool ﷺ par imaan lane ke liye apni zubaan se izhaar karte hain.
- Maane: Matlab, meaning.
- Ilah: Khuda, jo sab cheezon ka haakim, maalik, aur ibadat ke laayak hai.
- Khuda: Allah, jo sab kuch banane, paalne, posne, sunne, aur duaa qubool karne wala hai.
- Maalik: Kaayenaat ka haqiqi maalik, jo har cheez par haq rakhta hai.
- Haakim: Hukmaran, jo hukum chalane ka haq rakhta hai.
- Khaliq: Banane wala, creator.
- Raaziq: Rizq dene wala, sustainer.
- Ibaadat: Allah ki bandagi, pooja karna.
- Museebat: Takleef, pareshani.
- Raahat: Sukoon, aaraam.
- Aaqa: Maalik, lord.
- Gulaam: Banda, servant.
- Pairvi: Itaat, follow karna.
- Iqraar: Tasleem karna, ikhlaas se izhaar karna ke kisi baat ko sach manna.
No Comments