Part 05 - Rasulullah ki Rahnumayi ka iqrar
La ilaha illallah kehne ke baad tum Muhammadur Rasoolullah kehte ho. Is ke maane yeh hain ke tumne yeh tasleem kar liya ke Muhammad ﷺ hi woh paigambar hain jin ke zariye se Khuda ne apna qanoon tumhare paas bheja hai.
Khuda ko apna aaqa aur shahenshah maan lene ke baad yeh maaloom hona zaroori tha ke is shahenshah ke ahkaam kya hain? Hum kaun se kaam karein jin se woh khush hota hai aur kaun se kaam na karein jin se woh naaraaz hota hai? Kis qanoon par chalne se woh humko bakhshega aur uski khilaf warzi karne par woh humko saza dega? Yeh sab baatein bataane ke liye Khuda ne Muhammad ﷺ ko apna paighambar muqarrar kiya. Aap ke zariye se apni kitaab humare paas bheji aur aap ﷺ ne Khuda ke hukum ke mutabiq zindagi basar karke humko bata diya ke musalmaanon ko is tarah zindagi basar karni chahiye.
Pas jab tumne Muhammadur Rasoolullah kaha to goya iqraar kar liya ke jo qanoon aur jo tareeqa huzoor ﷺ ne bataya hai tum usi ki pairovi karoge aur jo qanoon iske khilaf hai uspar laanat bhejoge. Yeh iqraar karne ke baad agar tumne huzoor ﷺ ke laaye hue qanoon ko chhod diya aur duniya ke qanoon ko maante rahe, to tum se badh kar jhoota aur be-imaan koi na hoga. Kyunke tum yehi iqraar karke to Islam mein daakhil hue the ke Muhammad ﷺ ka laaya hua qanoon hi haqq hai aur isi ki tum pairovi karoge. Isi iqraar ki badolat to tum musalmaan ke bhai bane, isi ki badolat tumne baap se wirasat paayi, isi ki badolat ek musalmaan aurat ya mard se tumhara nikah hua, isi ki badolat tumhari jaiz aulad bani, aur isi ki badolat tumhein yeh haq mila ke tamaam musalmaan tumhare madadgaar bane, tumhein zakaat dein, tumhari jaan-o-maal aur izzat-o-abroo ki hifazat ka zimma lein. Aur in sab ke bawajood tumne apna iqraar tod diya — is se badh kar duniya mein kaun si be-imaani ho sakti hai?
Agar tum La iIlaha illallah Muhammadur Rasoolullah ke maane jaante ho aur jaan boojh kar iska iqraar karte ho, to tumko har haal mein Khuda ke qanoon ki pairovi karni chahiye, khwah iski pairovi par majboor karne wali koi police aur adalat is duniya mein nazar na aati ho. Jo shakhs yeh samajhta hai ke Khuda ki police aur fouj aur adalat aur jail kahin maujood nahi hai, isliye uske qanoon ko todna aasaan hai, aur government ki police, fouj, adalat aur jail maujood hai, isliye uske qanoon ko todna mushkil hai — aise shakhs ke mutaliq main saaf kehta hoon ke woh La ilaha illallah Muhammadur Rasoolullah ka jhoota iqraar karta hai. Woh apne Khuda ko, saari duniya ko, tamaam musalmaanon ko, aur khud apne nafs ko dhoka deta hai.
Glossary
-
Aaqa
Malik ya maalik (مالک یا مالک) — Khuda ka ek laqab, jo uski baadshahat aur hukoomat ko dikhata hai. -
Adalat
Court ya nyayalay (کورٹ یا عدالت) — Faisle karne aur insaaf dene ki jagah. -
Ahkaam
Hukumat ke rules aur commands (حکومت کے قوانین اور احکام) — Woh hukumaat jo Khuda ne insaan ke liye beja hain. -
Alfaaz
Words ya lafz (الفاظ یا لفظ) — Wo jo hum bolte hain ya likhte hain. -
Bakhshna
Maaf karna, gunaah maaf kar dena (معاف کرنا، گناہ معاف کر دینا) — Khuda ka ek amal jo insaan ke gunaahon ko maaf karne se mutaliq hai. -
Dozakh
Jahannam ya narak (جہنم یا نرک) — Wo jagah jahan gunaahgaron ko azaab diya jayega. -
Faisla
Decision ya nirnay (فیصلہ یا نرنیہ) — Kisi baat ko tay karne ka amal. -
Fouj
Army ya sena (فوج یا سینا) — Khuda ki quwwat jo insaanon ki duniavi fouj se alag hai. -
Iqraar
Acceptance ya tasleem karna (اقرار یا تسلیم کرنا) — Dil se kisi baat ko maanne ka amal. -
Jannat
Swarg ya heaven (جنت یا سورگ) — Wo jannat jahan nek logon ko inaam milega. -
Kaleja
Heart ya dil (کلیجہ یا دل) — Pyaas ko bujhane ka ishara. -
Kalma Tayyiba
La Ilaha Illallah Muhammadur Rasoolullah (لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہ) — Islam ka ahem aur bunyadi aqeeda. -
Khuda
Allah, God ya Ishwar (اللہ، گاد یا ایشور) — Islam mein wo zaat jo saari kainaat ka maalik hai. -
Khilaf Warzi
Violation ya ulanghan (خلاف ورزی یا اولنگھن) — Kisi hukum ya qanoon ki nafarmaani karna. -
Maarfat
Knowledge ya gyaan (معرفت یا گیان) — Allah ki pehchaan aur ilm. -
Muslimaan
Ek shaks jo Islam ko maane aur La Ilaha Illallah Muhammadur Rasoolullah ka iqraar kare (مسلمان — ایک شخص جو اسلام کو مانے اور لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہ کا اقرار کرے). -
Paighambar
Nabi ya rasool (پیغمبر یا رسول) — Allah ke bheje hue wo log jo insaaniyat ko hidayat dete hain. -
Pairovi
Obedience ya anusar karna (پیروی یا انسار کرنا) — Kisi tareeqa ya qanoon par chalna. -
Qanoon
Law ya kanoon (قانون یا قانون) — Wo ahkaam jo Khuda ne insaan ke liye bheje. -
Saazish
Conspiracy ya shadyantra (سازش یا شڈینتر) — Buri chaal ya chalein. -
Shahenshah
Emperor ya samrat (شہنشاہ یا سمراٹ) — Allah ka ek laqab jo uski baadshaahat ko dikhata hai. -
Tasleem Karna
Accept karna ya maanne ka amal (تسلیم کرنا یا ماننے کا عمل) — Khuda ke ahkaam ko qabool karna. -
Wirasat
Inheritance ya virasat (وراثت یا وراثت) — Mulk ya maal jo kisi ke marne ke baad uske waris ko milta hai. -
Zakaat
Charity ya daan (زکوة یا دان) — Wo maal jo musalmaan gareebon aur zaroorat mandon ko dete hain. -
Zimmedari
Responsibility ya zimmedaari (ذمہ داری یا ذمداری) — Wo farz jo kisi par aata hai iqraar karne ke baad.
No Comments