Skip to main content

Part 06 - Ahad wa Iqrar ki ZImmedarian

Bhaiyon aur doston, abhi maine tumhare saamne Kalma Tayyiba ke maane bayaan kiye hain. Ab isi silsile mein main ek aur pehlu ki taraf tawajjo dilata hoon.

Tum iqraar karte ho ke Allah tumhara aur har cheez ka maalik hai, iske kya maane hain? Iske maane yeh hain ke tumhari jaan tumhari apni nahi, balki Khuda ki milk (mulkiyat) hai. Tumhare haath apne nahi, tumhari aankhein aur tumhare kaan aur tumhare jism ka koi bhi uzoo tumhara apna nahi. Yeh zameenein jinhein tum jote ho, yeh jaanwar jinse tum khidmat lete ho, yeh maal-o-asbaab jinse tum faida uthate ho, inmein se bhi koi cheez tumhari nahi hai. Har cheez Khuda ki milk hai aur Khuda ki taraf se atiye ke tor par tumhein mili hai. Is baat ka iqraar karne ke baad tumhein yeh kehne ka kya haq hai ke jaan meri hai? Doosre ko maalik kehna aur phir uski cheez ko apni qarar dena bilkul ek laghu baat hai.

Agar darhaqeeqat yeh baat sache dil se maante ho ke in sab cheezon ka maalik Khuda hi hai, to isse do baatein khud-bakhud tum par laazim ho jaati hain:

Ek yeh ke jab maalik Khuda hai aur usne apni mulkiyat amaanat ke tor par tumhare hawale ki hai, to jis tarah maalik kehta hai usi tarah tumhein in cheezon se kaam lena chahiye. Uski marzi ke khilaf in cheezon se kaam loge to dhoka-baazi karte ho. Tum apne in haathon aur paon ko bhi uski pasand ke khilaf hilane ka haq nahi rakhte. Tum in aankhon se bhi uski marzi ke khilaf dekhne ka kaam nahi le sakte. Tumko is peit mein bhi koi aisi cheez daalne ka haq nahi hai jo uski marzi ke khilaf ho. Tumhein in zameenon aur in jaayedadon par bhi maalik ke mansha ke khilaf koi haq hasil nahi hai. Tumhari biwiyan ya shauhar jinhein tum apne kehte ho aur tumhari aulaad jinhein tum apni kehte ho, yeh bhi sirf isliye tumhari hain ke tumhare maalik ki di hui hain. Lihaza tumko in se bhi apni khwahish ke mutabiq nahi, balki maalik ke hukum ke mutabiq hi bartaav karna chahiye.

Agar iske khilaf karoge to tumhari haisiyat ghaasib ki hogi. Jis tarah doosre ki zameen par qabza karne wale ko tum kehte ho ke wo be-imaan hai, usi tarah agar Khuda ki di hui cheezon ko tum apna samajh kar apni marzi ke mutabiq istemaal karoge, ya Khuda ke siwa kisi aur ki marzi ke mutabiq in se kaam loge, to wohi be-imaani ka ilzaam tum par bhi aayega.

Agar maalik ki marzi ke mutabiq kaam karne mein koi nuksaan hota hai to hone do. Jaan jaati hai to jaaye, haath paon toot-te hain to tootein, aulaad ka nuksaan hota hai to ho, maal-o-jaaydaad barbaad hoti hai to hone do, tumhein kyun gham ho? Jiski cheez hai agar wohi nuksaan pasand karta hai to usko haq hai.

Haan, agar maalik ki marzi ke khilaf tum kaam karo aur usmein kisi cheez ka nuksaan ho to bila-shubha tum mujrim hoge kyunki doosre ka maal tumne kharaab kiya. Tum khud apni jaan ke bhi mukhtaar nahi ho. Maalik ki marzi ke mutabiq jaan doge to maalik ka haq ada karoge, aur iske khilaf kaam karne mein jaan doge to yeh be-imaani hogi.


Glossary (Hinglish)

  1. Kalma Tayyiba - Allah ke ikhlaas se bharpoor paighaam jo imaan aur tauheed ka izhaar karta hai.
  2. Maane - Arth, matlab.
  3. Iqraar karna - Tasleem karna, maan lena.
  4. Maalik - Koi jo kisi cheez ka haqiqi malik ya adhikari ho.
  5. Milk (Mulkiyat) - Kisi cheez par haq ya adhikar rakhna.
  6. Jism - Sharir, body.
  7. Uzoo - Sharir ka hissa, jaise haath, paon, aankhein.
  8. Zameenein - Kheti ke liye ya rehne ke liye zameen.
  9. Jaanwar - Pashu, animals.
  10. Khidmat - Seva, madad lena.
  11. Maal-o-Asbaab - Sampatti, possessions.
  12. Atiya - Uphaar, gift.
  13. Iqraar - Maan lena, tasleem karna.
  14. Haq - Adhikar, right.
  15. Laghu baat - Bekaar ya be-maani baat, meaningless statement.
  16. Darhaqeeqat - Vastav mein, sach mein.
  17. Amaanat - Vishwas ke roop mein saupi gayi cheez.
  18. Hawale karna - Saumpna, handover karna.
  19. Dhoka-baazi - Dhokha dena, cheating.
  20. Pasand - Ichha, choice.
  21. Hilana - Hilaana ya chalana, move karna.
  22. Mansha - Ichha, marzi.
  23. Bartaav karna - Vyavhaar karna, behave karna.
  24. Ghaasib - Jabardasti kabza karne wala, usurper.
  25. Qabza - Kabza karna, seize karna.
  26. Be-imaan - Bhrasht, dishonest.
  27. Jaan - Jeevan, life.
  28. Mujrim - Aparadhi, criminal.
  29. Mukhtaar - Adhikar rakhne wala, in-charge.
  30. Maal - Sampatti, property.
  31. Nuksaan - Haani, loss.
  32. Aulaad - Bachche, children.
  33. Jayedad - Sampatti, property.
  34. Barbaad - Nasht karna, destroy karna.
  35. Marzi - Ichha, will.
  36. Haqiqi - Vastavik, true.